A selection of cupid lovely, romantic sms, cute, sweet poetic & friendly texts. To send to close friends & loved ones. Send good morning loves sms, love sms jokes, love poems sms, hate u sms to your soul mates.
Haider ka musalmaan nay jo khoon bhaya hai.
Saar par say yeh zainab kay (x2) hy saaya uthaaya hai.
1) Zarbat ki khabar aaye jis dum dar-e-Haider par (x2)
Zainab nay rida thaamee, baazoo ko chupaaya hai.
2) Karna hai hawaalay jo Shabbir ko Ghazi kay (x2)
Abbas ko Haider nay nazdeek bulaaya hai.
3) Shabbir teray laashay ko kaun uthaayey ga (x2)
Tunay tau yeh baba ka taaboot uthaaya hai.
4) Zainab say koi poochay aye koofay ki shahzaadi (x2)
Kyun baap say martay dum, dhuk khud ko chupaaya hai.
5) Maa ko bhi tumhee ummat nay roka tha ronay say (x2)
Zainab kay bhi ronay par ab pehra lagaaya hai.
Leave a reply
You must be logged in to post a comment.